Pak hai woh zaat jes ny aisy pak uloom makhlooq ke bhalai aur mushkil khushai k leye autary aur Pak hain woh hastiyan jen par ye Ilm autary gaye aur unhoun ny khedmat-e-khalq ke aur in uloom-e-mukhfi ko aam kiya,Ilm-e-ramal woh qadeem ilm jes k zarye ham kesi shaks ka mazi haal aur mustabil ka sirf aik zaicha bana kar bata sakty hain ramal k aik zaichy sy pory 144 sawalaat k jawabaat milty hain ,aur dosry tareky sy 164 tak jawabaat milty hain,Ramal ka lafz apny maeny k hisaab sy bohat he waseh hai yani k reayt jestarhan regestaan mn reyat k koie andaza nahe laga sakta usi tarhan ye ilm bhe la mehdood aur bohat wusehat leye hoay hai,is ilm ko lakeron ke science kaha jaye tu ghalat na ga is ilm k ahaty mn khaliq-e-kainaat ny har cheez ka hissa rakh diya hai is leye ye ilm nehayat sacha aur sahe hai .
ILM-E-RAMAL KE TAREEKH :~~
ketaab tareekh-e-alam ibn-e-khuldoon lekhte hai k "ilm-e-ramal ka nuzool Hazrat Daniyaal a.s par ALLAH ny ba wasatat jibraiel a.s kiya". is ilm ke ibtada tu pehly hogaie the albata uooj par unky dour mn aya yahan ye lekhna bhe zarori hai k ahly hind hazrat daniyaal alahy salaam ka ustaad Tem Tem Hindi ko manaty hain jesy k surkhaab ramal k musanif pro.hakeem munshi raghbeer singh sayah apni book k page 7 par lekhty hain k "aam rewayat mowajed is ilm k daniyaal a.s hain ,agay chal kar lekhty hin k ye ilm bhe ejaad kardah mahereen falsfa wa science ahly hind hai isky saboot k tur par ahly hind dairah abdah ko pesh karty hain jo tarteeb kardah daniyaal a.s hai aur ye he woh dairah hai jesko asal aur taskeen aur uml-ul-dawair aur taskeen tem tem hindi bhe kehty hai aur isi tem tem ko ahly hind hazrat daniyaal ka ustaad kehty hain isi wajah sy is ilm ko woh khud sy mansoob karty hain ,hakeem tem tem hindi ka zamana tu pata nahe albata agr tem tem k laghwei maeny dekhy jain tu tem buzruge barai aur ala ko kehty hain dosry maney maal-e-basyaar k hain aur jes tarhan tem tem muraqab hai tu is sy ( jibraiel a.s muraad hain ) yani k ahly hind jesko hakeem tem tem hindi k naam sy janty hain aur hazrat daniyaal ka ustaad kehty hain woh hazrat jibraiel he hain har tarhan is naam-e-pak k leye barai he barai pai jati hai .
s.nazir hussain ba hawala tareekh khuldoon apni book mn lekhty hain k ilm-e-ramal k asaar ahly misr k han bhe mojood thy faroos nami misri kahen is ilm ka bani mubani tha jes ny is ilm par ketaab lekh kar sandook ko tala laga kar band kardi the aur mumfis k daldalon mn aik muqaam par rakh de the jesy egypt k 3rd shahi khandaan ky 4th badshah ramees doyum ny wahan sy nekalwaya ,isi badshah k dar bari kahein sist aamoon ny dobara is ilm ko misr mn zindah kiya.
ahl-e-yunan bhe ilm-e-ramal janaty thy aur mashoor falsafi jalenos bhe apny dour ka by badal ramaal tha ,isi arhan is ky baad sukraat aur aflatoon be is ilm k ulma mn shumaar hoty hain,yunan sy ye ilm italy walon ny aur wahan sy tamaam aqwaam-e-europe ny hasil kiya,phir jab muslmaan aur aqwam-e-europe aik dosry mn shamil hoay tu musalman ulma ny is ilm mn tarhan tarhan ke mushghafiyn bayan karky ahly europe ko is sy mazeed roshnaas kiya.
muslmaan ulma ny is ilm ko kuldi kahenun aur iranai wasateer sy sekha aur is ilm ko miraaj-e-kamal tak pohanchaya ,isi waja sy ahd-e-qachaar ka mashoor aur maroof irani ramaal Surkhaab apny dour ka by badal ramaal tha ,is hakeem ny ilm-e-ramal ko is kamaal tak pohanchaya k ajj ye ilm baqaida science mn shumaar hota hai .
ILM-E-RAMAL AUR AMBIYA ALHAY SALAAM :-
ilm-e-ramal aik aisa ilhami ilm hai jo ambiya alahy salaam par wahe k zarye ya dosry zaraye sy autara gaya ,
bohat sy ambiya alahy salaam is ilm k mahir thy lekin tareekh mn jenka zikar hamein milta hai aur jenke k naaam hamein aimah masomeen a.s k zarye rewayaat mn milty hain un mn Hazrat Adam a.s,Hazrat Shees a.s,Hazrat Idrees a.s hazrat Esa a.s hazrat Daniyaal a.s Hazrat Armia a.s Hazrat Ashieya a.s,Hazrat Luqmaan a.s,Hazrat Dawood a.s Hazrat Kheizar a.s isky elawa bhe yaqenan is ilm ko bohat sy ambiya janty houngay lekin in ambiya mn hazrat daniyaal a.s aur hazrat idrees a.s k naam ilm-e-ramal k hawaly sy bary he mustanid hain,Hazrat daniyal a.s sy tu ramal ka aik daira bhe mansoob hai jesko daria-e-daniyaal bhe kehty hain .ketaab aftaab-e-ramal(1289 h) musanif sm.hasan /ghulaam hasan munajim sultani dehalvi page 4 par lekhty hain k "ye ilm asmani ilm hai ALLAH jaly shanahu azro-e-wahi ky 7 peghamberon ko ata farmaya".
ILM-E-RAMAL AUR AIMAH-E-AHLYBAIT A.S :~
rasekhouna fel ilm AHLY BAIT A.S he hain jen sy quran mn pouchny ka hukum hai jo ham nahe jantyaimah-e-ahly bait a.s in tamaam atni uloom k khazany k malik hain aur koie ilm aisa nahe jo in k dast-e-akhtiyar mn na ho .
ketaab mufateh-ul-ghaib urdu edition mn musanif moulana syed najam-ul-hasan sahab page 28,29 par lekhty hain k Hazrat imam JAFER-E-SADIQ A.S ny ilm-e-ramal ,ilm-e-kemiya,ilm-e-jaffer par aik ketaab lekhi the, ketaab raheem-ul-ramal hisa 2 k page 6 par musanif dr.abdul raheem lekhty hain " aik rewayat mn hai ky ye ilm(ramal) degar mutabarik uloom ke tarhan apni asli halat mn hazrat sahib-ul-asar imam MAHDI a.s k pass moujood hain,(Hazrat Ali a.s k hath ke lekhi hoie ketaab jaffer al jameh jes mn qayamat tak k waqiyaat darj hain woh bhe unke pass hai) imam jafer-e-sadiq a.s astrology,asronomy,kemiya,numerology,jafer aur dosry uloom ke tarhan ilm-e-ramal bhe janty thy .
RAMAL KE SHAKAL LEHYAAN AUR HAZRAT ALI A.S :~~
ramal ke shakal rehaan jo lehyaan kehlati hai ka pehla hurf alif hai ,number 1 aur sitara mushtari k sath hai ,yani lehyaan dairah sukan,abdah,daniyali,abjad,asah,ansar ya dairah-e-hurf ya aks k pehly khany mn ati hai sirf dairah buzuh dosry khny mn ati hai dairahabdah mn chunky nuqaat ko ahmiyat hasil hai lehaza lehyaan ka abdah mn khana awal mn ana nehayat mubarak samjha jata hai ,is mn 7 nukty hain pehla atishi,2 nukty hawai,2 nukty abi aur 2 khaki hain ,awal nukta atish lehyaan ke jaan hai agar ham pehly nukty ko badal kar dosry tesry ya chuthy number par ly aien tu mafhoom he badal jata hai .
ilm-e-ramal mn nukty ko bohat ahmiyat de hai kesi k zaichy mn lehyaan ka ajana intehai mubarak aur khush bakhti ke alamt mana jata hai aur kesi bhe ramaal ko zaichy k pehly ghar mn lehyaan ko dekh kar nateja nekalny mn dyr nahe lagte,hazrat Ali a.s ka nukty aur lehyaan k sath kya taluq hai ye baat tabhe samjh ayege k jab is nukty ko atish ke bajaye noori taswur kareingay wesy ghour kiya jaye tu asal mn atish ny bhe tu noor he sy janam liya hai.
hazrat Ali a.s aik dafa hazrat ibn-e-abbas r.a sy surah-e-hamd ke tafseer bayaan farma rahy thy,app ny farmaya jetny bhe awaleen aur akhireen uloom hain sab quran majeed k andar hain jo kuch quran k andar hai woh surah hamd k andar hai jo kuch surah-e-hamd k andar hai woh BISMILLAH mn hai aur jo kuch BISMILLAH mn hai woh BISMILLAH ke BY mn hai aur mn woh NUKTA hun jo BY k nechy hai yani Hazrat Ali a.s markaz dairah-e-uloom awaleen aur akhireen hain jesky mutaliq HUZOOR S.A.W.W ny farmaya "MN ILM KA SHEHAR HUN AUR ALI USKA DARWAZA HAIN " agar by k nechy sy nukta hata diya jaye tu baqi kuch nahe bachta tu NOORI NUKTA wajood-e-Hazrat Ali a.s hai .
LEHYAAN KE SEFAAT :~
1-saad akbar
2-hurf alif,
3-kokab mushtari,
4-mizaaj atshi-sharqi
5-khandaan shreef ala ilm aur fazal ka gharana
6-khush khalq,ze feham,fasahat aur balaghat
7-peshani aur sena fraakh
8-mahir ilm-e-riyazi,qazi,adalat,kachehri
9-muqaam baland,masjid,ibadat gah
10-din jumyraat
11-makkah,mashhad,neshapur,NAJAF
12-Taaj
(hawala:mukammal ramal surkhaab page 122.)
LEHYAAN KE SEFAAT AUR HAZRAT ALI A.S :~
1-app saad akbar hain "ALI k chehry ke taraf dekhna ibadat hai"(hadees)
2-hurf alif zaat-e-BARI TALA k sath hai aur Hazrat Ali wajahullah hain (hadees)
3-kokab mushtari aik saad akbar kokab hai aur hazrat ali ke tamam kawakib par hukmrani hai app k aik ishary sy doba howa suraj palat aya tha(bohat zada kutub mn ye waqiya naqal kiya gaya )
4-atishi mizaah,mashriqi,kufaar k leye app ke talwar atish aur ahbab k leye harer wa parneyan ,qela khebar ko apny fuladi hathon sy aukhaar kar phenk diya aur marhab wa antar apni atishi talwaar sy tukry kardiye
5-app bani hashim k shareef aur ala khandaan mn paida hoay ,jes ka shajarah nasb hazrat IBRAHEEM A.S k sath milta hai
6-app ko huzoor-e-akram s.a.w.w k baad ilm aur hekmat mn woh muqaam hasill tha j kesi aur k naseeb mn na tha .
7-app ka sena kushada peshani ALLAH k noor sy roshan the,HUZOOR S.A.W.W. ny farmaya k "ALI K chehry ke taraf dekhna ibadat hai ".
8-app ko ilm-e-riyazi mn jo maharat hasil he woh kesi aur ko hasilnahe the,riyazi ke aik shakh al jabra ke ejaad bhe hazrat ALI a.s ny ke the,app ko ilm-e-jaffer par aubur hasil tha ,app ke lekhi hoie jaffer al -jamah mn qayamat tak ka haal darj hai .
9- app jaisa mansab ,adil aur qazi ajj tak paida nahe hoa hazrat ALI A.S k hazron faisly tareekh mn mojod hain mulaheza ho ketaaab hazrat ali a.s k faisly.
10-app ALLAH k ghar baitullah k andar paida hoay aur ALLAH k ghar masjid-e-kufa mn shahdat pai(ba kaba wiladat,ba masjid shahdat)
11-makkah mn paida hoay aur najaf ashraf iraq mn dafan hoay
12-taj ko is leye faziliyaat hasil hai k woh badshahon k saron par pehnaya jata hai ,app k sar par ALLAH ny ilm-o-hekmat aur taqwa ka taaj pehnaya,aur app k sar par RASOOL ALLAH S.A.W.W ke janashini ka bhe taaj hai .
agar app ghour karein tu sajdy ke halat mn jo neshaan banta hai asal mn woh he lehyaan ka neshaan hai sajda nukta do hath k darmiyaan ke aik lakeer bani tang k ghutny aur poun ke aik aik lakeer bani 0 l l l ,aur HAZRAT ALI a.s isi sajdeh ke halat mn zakhmi hoay aur shahadat pai.
ye lehyaan k woh ausaaf hain jo HAZRAT ALI A.S ky sewa kesi mn nahe paye jaty .
RAMAAL KY AUSAAF :~(THE GEOMANCER)
Aik ramaal ko paband-e-ahkaam-e-shariyat hona bhot zarori hai uski zubaan sy jhoot na nekalta ho km bolny wala km sony wala ho aur fuzool aur laghu guftugu sy parhaiz karta ho na kesi ke tareef par khush ho aur na kesi k bura kehny par ghamzada,har ahkaam ko men janib ALLAH ke neyat sy batyae us mn apni raye shamil na kary,jo baat batany k qabil na ho us ko ishary sy samjhay,zaicha banay sy pehly ALLAH ke bargah mn apny matlab k hal k leye dua kary, zaichy mn khob ghor-o-khos kary zaicha banay sy jawab dyny tak sail k sawaal ko zehan mn rakhy .pak libas pehny aur khubu ka apny qareeb ahtimam kary.
RAMAL K QUR'RY DICES : ~
wesy tu zaicha-e-ramal banay k leye ashkaal nekalny k kai tareky hain lekin jo tareka qadeem aur ajj tak sahe chala araha hai woh bazarya dices ka hai is mn ramaal sail sy sawaal ke neyat karwa kar dices dalwata hai aur us sy hasil shapes ko zaicha mn daal kar zaicha tarteeb dyta hai is kesam k zaichy mn jawaab usi surat mn sahe ata hai jab k qur'ra-e-ramal dices belkul sahe bany hun ur unke banawat mn kesi kesam ke kmi aur ghalti na hoie ho
DICES KE TAYARI :~
dices ke tayari mn 7 dhatein seven holy metals use hoti hain ye saath dhatein sath setaron sy mansoob hain jab sail sawaal k leye dices daly ga tu un dices mn 7 stars ke power already mojood hoge jes sy sawaal sahe ayega, in sab dhaton ke aik muqarara miqdaar mel kar ramal k dices banati hain is ky banany k leye waqt tehweel aftaab dar burj hamal afzal waqt hai ,banany wala pak saaf ho aur qibla ro hokar banaye .
ILM-E-RAMAL KE BOOKS :~
ramal ke kai books markets mn available hain un mn sy kuch kaam ke books porani urdu zubaan mn hain jesko aam admi k leye samjhna itna asaan kaam nahe aur jo nayaab books hain woh sab zada tar farsi aur arabic mn mojood hain aam melny wali books is ilm par batur sanad k tur par pesh nahe ke jasktein albata aik book jesko ramaal bible of ramal kehty hain us ka naam surkhaab-e-ramal hai ye bohat ache book hai magar is ka samjhna asaan kaam nahe jo log ramal sekhny k khowaish mand hain woh raheem-ul ramal ka mutala karein aur yaad rakhein har ilm ko sekhny k leye aik ustaad ke zarorat hoti hai
.
SAWAAL APP KA JAWAB RAMAL KA :~
AGAR APP APNY KESI BHE MASLY KY HAL KY LEYE SAWAAL KARNA CHAHTY HAIN TU IS TARIKY PAR AMAL KARKY KAR SAKTY HAIN .
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
CONTACT FOR QUESTIONS : mukhfiauloom@yahoo.com
EMAIL : ilmeramal@gmail.com
FACE BOOK ID :mukhfi auloom
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
M.ABBAS
No comments:
New comments are not allowed.