JINAAT KE TAKHLEEQ : ~
Jin aik aisa lafz jesko sunty aur parhty he app ke zehanmn aik ghair marai makhlooq ka khayaal ajata hai jo app k zehan ke soch sy koie bhe shakal ly sakte hai jaisa app demagh mn taswur laiegay wesa he uska aks app k demagh mn ban jayega dar asal ye makhlooq hai bhe aise he yani woh jo chahy roop akhtiyaar karny par qadir hoty hain ,jin ko jin kehny ke waja aur jinn k lafzi maeny ye hain k "jo cheez ankhon sy ojhal ho" aur isi ojhal hony ke waja sy hamary muashry k kai jadeed uloom parhy hoay log in ky wajood sy he inkaar kardyty hain( jab k quran m pori surat in ky naam sy mojood hai) jeske waja sy jab amli zindage mn insy samna hota hai ya koie fard jin asab k asraat mn ata hai tu pehly tu yaqeen nahe karty jab imaan laty hain tu usky baad ilaaj k leye neem hakim amilonk paas jatay hain aisy nusar baaz aur jali amail unky pehly sy kachy bharosy par apni dhuka dahi ke zarb laga kar unka mustaqil tor par is ilm aur in makhloqaat k wajood sy yaqeen he autha dyty hain rohani elaaj k naam par ye bad unwani ke badtareen misaal hai,
"jin" ka lafz quran mn 22 martaba "jaan" ka lafz jo jin ke jama hai 7 martaba , "shetaan" ka lafz 68 dafa aur "shayateen" ka lafz 17 dafa aya hai .
jin aik alehda makhlooq hai na ye farishton jaisy hain aur na insanon jaisy hain jo cheez insanon aur jinnaat mn aik si hai woh hai aqal aur idraak dono mn achai aur burai ko chun'ny ka akhtiyar mojood hai aur insanon aur jinaat mn bunyadi farq ye hai k jinaat ke takhleeq ka mada insanon ke takhleeq k mady sy mukhtalif hai.
surah rehmaann ke ayat 14 mn insaan ke khalqat k mutaliq
israshaad hai ,
quran kareem mn ALLAH jinon ke takhleeq k mutaliq farmaty hain ,Al-Rehmaan 14 .
jinnaat ke khalqat sy pehly zameen par mukhtalif balaein mojood thein tareekh ibne kaseer jild 1 page 106,
JENNAAT KE AQSAAM
JENNAAT KE PEHLI QESM .
is qesam k jennaat k par hoty hain jaisy k app ko is taweer mn dekh rahy houngay .
JENNAAT KE DOSRI QESAM .
jenaat ke dosri qesam aam hai magar us ko pehchany ke salaheyat har aik mn mojood nahe hoti is ky leye tajurby ke aur rohani salahiyaat ke zarorat parti hai is qesam k jennaat k leye qasrat sy ahadees naqal ke gai hain ,aur is qesam k jenaat mn ye salaheyat mojood hoti hai k ye bohat tezi sy roop badalty hain ba yak waqt 7 roop badalny ke salehyaat inko hasil hoti hai .
indian culture mn is kesam ky jennaat ko imtiazi hasiyat hasil hai abhe ye mera mozu nahe is par kabhe detail sy lekhonga .
Add caption |
is qesam k jennat aksar ashiq mizaaj hoty hain ye fizaon mn chakar lagatay rehty hain aur mustaqel har kat mn rehty hain hawa k sath in ke gardish hoti hai jes taraf hawa zada raftaar sy chal rahe h aksar ye apna rukh usi taraf karlyty hain aksar logon k ghar mn bhe sakonat akhtiyaar karty hain jes ke waja sy kesi ghar mn koie cheez ghaib hojate hai aur kuch dinbaad wahein sy melte hai ya kuch lamhy baad wahein melte hai aisa in ke mojoodge ke waja sy he hota hai ye jes jagah jetmy arsy qayaam kareingay wahan aisay nadidah waqiyaat runuma hoty rehty hain
MASKAN :~
rehaish k aitbaar sy jennaat alag alag jagahein pasand karty hain gharon mn paharo ya baghaat mn porany darkhton k upar jen mn pepal aur bargad bary mashoor hain halanky in dono par jinnat k elawa bohat sy chezein atihain lekin abhe jinnaat par lekh raha hun tu phir kabhe aur makhloqaat par bhe lekhounga jinnaat k elawa bhe bohat sy mukhfi makhlooqat hain jen par zada tawaju nahe de gaie neik sift rakhny waly jinnaat agar kesi ghar mnbhe mojood hun tu ahly khana ko tang nahe karty balky unke mojoodge sy barkat hoti hai keun k woh telawat aur ALLAH ka zikar karty rehty hain isi tarhana agar shareer jinnaat kesi k ghar mn kabiz hun tu unko wahan sy nekalny kafi mushkil kaam ban jata hai baz auqaat ye kaam intehai sakht roop ly lyta hai abaadi k lehaz sy bhe jinnaat aik bohat bari abadi rakhny wali makhlooq hai jeska andaza lagana bohat mushkil hai k inke total abadi ketne hoge magar app andaza laga sakty hain k zameen k elawa zameen sy 6 kilo meter upar jinaat ke abadiyaan fiza mn hain isi tarhan dosry sayaron par bhe aik kaseer tadad mn jinnaat mojood hain jaisy k chad par bhe mojood hain .( ye malomaat khud jinnaat ke de hoie hain ) iske elawa zameen par chunky insaan apny rehny ke waja sy janglaat foress ka bohat tezi sy khatma kar raha hai tu isi leye jinnaat k bhe insani abadyun ke taraf har kat mnizafa hoa hai ye he wahja hai k guzsihta zamanon ke ba nisbat door-e-hazir mn jinnaat k cases bohat samny arahy hain
ye tasaweer abhe kuch arsa pehly ke mujhy hasil hoie hain jes mn darkhat par mojood aik jini ko ba'asani dekha jasakta hai(sirf qaraeen ke maloomat k leye publish ke warna aam nahe ke jati).
isi darakht ke dosri pic dekheingay app tu us k aik kony mnapp ko jinnaat k hath nazar aiengay .
JENNAAT KA JADU MN ISTYMAAL :~
jinnaat ka jadu mn istymaal barson porana hai jen mn sifli shetaani jennaat ko mukhtalif tarekon sy taskheer kar ky un sy man marzi k kaam karaye jaty hain ye kaly jadgar kahenon ka kaam hai jo apny maqsad ko hasil karny k leye mukhtalif tareky istymaal kartyhain jennaat ko chalany k leye mis use hony ke waja sy mn yahan woh tareky tu nahe lekh raha jo mujhy mutally k baad aur mukhtalif amileen sy pata chaly hain al bata unke haqeqat zaror bayaan kar raha hun taky app log ko pata chaly. (to be continue)
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
CONTACT FOR QUESTIONS : mukhfiauloom@yahoo.com
EMAIL : ilmeramal@gmail.com
FACE BOOK ID :mukhfi auloom
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
M.ABBAS